Dengarkan lagu Hamen Jab Se Mohabbat (From "Border") nyanyian Sonu Nigam dengan lirik

Hamen Jab Se Mohabbat (From "Border")

Sonu Nigam, Alka Yagnik30 Jun 2016

Lirik Hamen Jab Se Mohabbat (From "Border")

Hamen Jab Se Mohabbat - Sonu Nigam/Alka Yagnik

Written by:Anu Malik/Javed Akhtar

 

Maahi maahi motiyaan waala

Mera sona dachiyaan waala

Maahi maahi motiyaan waala

Maahi maahi motiyaan waala

 

Humein jabse mohabbat ho gayi hai

 

Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai

Humein jabse mohabbat ho gayi hai

 

Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai

Humein jabse mohabbat ho gayi hai

 

Fizaaon mein nayi ek roshni hai

 

Havaaon mein ajab si taazgi hai

 

Tum is vadee mein mujhse mil rahi ho

 

Zameen lagta hai jaise ga rahi hai

Nayi rut ki mahoorat ho gayi hai

Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai

Humein jabse mohabbat ho gayi hai

 

Hai lipti dhund mein dilkash nazaare

 

Nadi khaamosh hai chup hain kinaare

 

Hai ek chhoti si kashti aur hum hain

 

Chale jaate hain lehron ke sahaare

Suhaani ab lo sangat ho gayi hai

 

Ye duniya khoobsoorat ho gayi hai

Humein jabse mohabbat ho gayi hai

 

Main kheton mein bani pagdandiyon par

 

Tumhaara haath thaame chal raha hoon

 

Hai pighla shaam ke sooraj ka sona

 

Magar main sirf tumko dekhta hoon

Ajab is dil ki haalat ho gayi hai

 

Yeh duniya khoobsurat ho gayi hai

 

Hamein jab se mohabbat ho gayi hai

 

Yeh saare log bilkul bekhabar hai

 

Main dil hi dil mein sapne bun rahi hoon

 

Nigaahein jo tumhaari keh rahi hai

 

Main in aankhon se woh sab sun rahi hoon

 

Anokhi apni chaahat ho gayi hai

 

Yeh duniya khoobsurat ho gayi hai

Hamein jab se mohabbat ho gayi hai

 

Yeh duniya khoobsurat ho gayi hai

Hamein jab se mohabbat ho gayi hai

Maahi maahi motiya waala

Mera sona daanchiya waala

 

Maahi maahi motiya waala

Maahi maahi motiya waala

Maahi maahi motiya waala

Mera sona daachiya waala

Oh oh oh oh

Maahi maahi motiya waala

 

Maahi maahi motiya waala