Listen to Chaudhvin Ka Chand song with lyrics from Mohammed Rafi

Chaudhvin Ka Chand

Mohammed Rafi26 Jul 2022

Chaudhvin Ka Chand Lyrics

Chaudhvin Ka Chand - Mohammed Rafi (默罕默德·拉斐)

Chaudvin ka chand ho ya aaftaab ho

 

Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho

Chaudvin ka chand ho ya aaftaab ho

 

Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho

Chaudvin ka chand ho

 

Zulfein hain jaise kaandhe pe baadal jhuke hue

 

Aankhen hain jaise maey ke pyaale bhare hue

 

Masti hai jisme pyaar ki tum woh sharaab ho

Chaudvin ka chand ho

 

Chehra hai jaise jheel mein khilta hua kanwal

 

Ya zindagi ke saaz pe chhedi hui ghazal

 

Jaane bahaar tum kisi shaayar ka khwaab ho

 

Chaudvin ka chand ho

 

Hothon pe khelti hain tabassum ki bijliyaan

 

Sajde tumhari raah mein karti hain kaikashaan

 

Duniya-e-husno-ishq ka tum hi shabaab ho

 

Chaudvin ka chand ho ya aaftaab ho

 

 

Jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho

Popular Songs