收聽Shankar Ehsaan Loy的Kandhon Se Milte Hain Kandhe (From "Lakshya")歌詞歌曲

Kandhon Se Milte Hain Kandhe (From "Lakshya")

Shankar Ehsaan Loy, Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Kumar Atul2012年12月18日

Kandhon Se Milte Hain Kandhe (From "Lakshya") 歌詞

Kandhon Se Milte Hain Kandhe - Shankar Ehsaan Loy/Shankar Mahadevan/Sonu Nigam (蘇努·尼甘)/Hariharan/Roop Kumar Rathod (魯普·庫馬爾·拉德)/Vijay Prakash/Kunal Ganjawala

Written by:Ehsaan Noorani/Loy Mendonsa/Shankar Mahadevan/Javed Akhtar

Kandho se milate hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Abb toh hame aage badte hai rehna

Abb toh hame sathee hai bas itna hee kehana

Abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana

Abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana

Kandho se milte hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Kandho se milte hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Nikle hain maidan me ham jan hatheli par le kar

Abb dekho dam lenge ham jake apanee manjil par

Khataro se haske khelana itani toh ham me himmat hai

Mode kalai maut kee itani toh ham me takat hai

Ham sarhado ke waste lohe kee ik diwar hai

Ham dushmano ke waste hoshiyar hai taiyar hai

Abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana

Abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana

Kandho se milte hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Josh dil me jagate chalo jit ke git gate chalo

Jit kee jo tasvir banane ham nikle hain apanee lahu se

Hamko uss me rang bharna hai

Sathee maine apane dil me abb yeh than liya hai

Ya toh abb karana hai ya toh abb marna hai

Chahe angare barse ke bijli gire tu akela nahee hoga yara mere

Koi mushkil ho ya ho koi ho morcha

Sath har mod par honge sathee tere

Abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana

Abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana

Kandho se milte hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Ik chehra aksar mujhe yad aata hai

Iss dil ko chupke chupke woh tadpata hai

Jab gharse koi bhee khat aaya hai

Kagaj ko maine bhiga bhiga paya hai

Palko palko pe yado ke kuchh dip jaise jalte hain

Kuchh sapane aise hain jo sath sath chalte hain

Koi sapana naa tute koi wada naa tute

Tum chaho jisse dil se woh tumase naa ruthhe

Abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana

Abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana

Kandho se milte hain kandhe kadmon se kadam milte hain

Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain

Chalta hai jo yeh karvan gunji see hai yeh wadiyan

Hai yeh jamin yeh aasman hai yeh hawa hai yeh sama

Har raste ne har wadi ne har parbat ne sada dee

Ham jitenge ham jitenge ham jitenge har baji