收聽Sandesh Shandilya的Dekar Dil歌詞歌曲

Dekar Dil

Sandesh Shandilya2004年3月15日

Dekar Dil 歌詞

 

Dekar Dil - Sandesh Shandilya (桑德什·尚迪利亞)

Written by:Sandesh Shandilya/Mehboob

Dekar dil kisi ko maine

 

Apna dil haar diya

 

Suno suno ae duniya walo

 

Ha maine bhi pyar kiya

 

Ha machal ke machal ke

Zara ae haseena

Bata de jaha ko hum tum itna ke

Kadam pe kadam pe sath hum

Ye zamana chahe to lele imteha

 

Dil kya chiz hai jaan bhi

Humne yaara tere naam kiya

 

Suno suno ae duniya walo

 

Ha maine bhi pyar kiya

Ha sambhal ke sambhal ke

Zara ae haseena

Pyar hota nahi hai aasan itna

Kadam pe kadam pe hogi muskile

Phir na kehna na kehna maine kya kiya

 

Paya tumko humne yara

Apni ye to kismat hai

Chamka hai taqdir ka tara

Uska naam mohabbat hai

Uski chamak ko roke koi kya

Usko humse chhine koi kya

Haatho ki rekhao me humne

Us taare ko tham liya

Suno suno ae duniya walo

 

Ha maine bhi pyar kiya

Ha machal ke machal ke

Zara ae haseena

Bata de jaha ko hum tum itna ke

Kadam pe kadam pe saath hum

Yeh zamana chahe to lele imteha

 

Muskil muskil koi aaye

 

Muskil se kya darna hai

 

Dil ki humne ki hai gulami

Jo dil bole karna hai

 

Dil hai nadan dil ka kya

Nadano ki sun na kya

Dil ko phir ilzam na dena

Dil ne kaisa kaam kiya

Suno suno ae duniya walo

 

Ha maine bhi pyar kiya

Ha sambhal ke sambhal ke

Zara ae haseena

Pyar hota nahi hai aasan itna

Kadam pe kadam pe hogi muskile

 

Phir na kehna na kehna maine kya kiya