收聽Rahat Fateh Ali Khan的Zaroori Tha (Album Version)歌詞歌曲

Zaroori Tha (Album Version)

Rahat Fateh Ali Khan2014年5月7日

Zaroori Tha (Album Version) 歌詞

Zaroori Tha (Album Version) - Rahat Fateh Ali Khan (拉赫·法塔·阿里·罕)

Written by:Sahir Ali Bagga/Khalil ur Rehman

Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge

 

Tune jab aakhiri khat mera jalayaa hoga

 

Tune jab phool kitaabon se nikale honge

 

Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

 

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte

 

Magar phir arzoo on ka bikharna bhi zaroori tha

 

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

 

Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha

 

Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha

 

Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh mein padhte ho

 

Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai woh baatein thi mehez baatein

 

Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha

 

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

 

Wahin hai sooratein apni wahin main hoon wahin tum ho

 

Magar khoya huya hoon main magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein daga ki thi jo kaafir the so kaafir hain

Mili hai manzilein phir bhi musaafir the musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke kahaan pahunche

 

Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha

 

Mohabbat bhi zaroori thi bichadna bhi zaroori tha

 

Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte

 

Magar phir arzoo on ka bikharna bhi zaroori tha

 

 

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha