收聽Shankar Ehsaan Loy的Agar Main Kahoon (From "Lakshya")歌詞歌曲

Agar Main Kahoon (From "Lakshya")

Shankar Ehsaan Loy, Alka Yagnik, Udit Narayan2018年2月9日

Agar Main Kahoon (From "Lakshya") 歌詞

Agar Main Kahoon (From "Lakshya") - Shankar Ehsaan Loy/Alka Yagnik/Udit Narayan

Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai

Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi

Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai

Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi

Main tumse kahongi

Is baat ko agar tum zara aur saja ke kahte

Zara ghuma phira ke kahte to achcha hota

Agar main kahoon

Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayee

Honth hain pankhadi phool ki

Aankhein jaise jugnu chamkte huey

Soche mera ye dil dhadakte huey

Agar main kahoon

Agar main kahoon ye jo chehra hai

Jaise koi chaand hai to kya kahogi

Main tumse kahongi

Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho

Chand mein to kayee daag hain

Mujhe phool na kahna vo murjhate hain

Jugnu bhi na kahna vo kho jaate hain

Ye baatein purani hain jo mujhko sunani hain

Kisi aur adaa se kahte

Zaraa ghuma phira ke kahte to achchha hota

Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai

Meri bas yahi chahat hai to kya kahogi

Agar main kahoon baatein sunke tumhari main hairan hoon

Jo bhi kahna hai kaise kahoon

Lagta tumhein kuchh bhi achchha nahin

Sach ko bhi kahti ho sachcha nahin

Agar main kahoon

Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun

Hai pyaar mujhe bhi tumse to kya kahoge

Main tumse kahonga

Mere dil ka hai ye kahna hamko hai saath mein rahna

Ye donon ke dil mein hai na to phir kyun kahna

Agar main kahoon

 

To main tumse kahoongi