Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan (From "Hum Saath-Saath Hain") Lyrics
Ye Toh Sach Hai Ke Bhagwan (From "Hum Saath Saath Hain") - Hari Haran/Milind
Lyrics by:Traditional
Composed by:Ram Laxman
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Janmdaata hai jo naam jinse mila
Thamkar jinki ungli hai bachpan chala
Kaandhe par baithke jinke dekha jahaan
Gyan jinse mila kya bura kya bhala
Ltne upkaar hain kya kahen
Yeh bataana na aasaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Janam deti hai jo maa jise jag kahe
Apni santaan mein pran jiske rahe
Loriyan honthon par sapne bunti nazar
Neend jo vaar de hanske har dukh sahe
Mamta ke roop mein hai prabhu
Aapse paaya vardaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Aapke khwaab hum aaj hokar jawaan
Us param shakti se karte hain prarthna
Inki chaaya rahe rehti duniya talak
Ek pal reh sake hum na jinke bina
Aap dono salaamat rahe
Sabke dil mein yeh armaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
All yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhi anjaan hai
Dharti pe roop maa baap ka
Us vidhaata ki pehchaan hai
Related Songs
Aapka Makan Bahut Achha Hai (From "Hum Pyar Tumhi Se Kar Baithe")
Alka Yagnik, Saurabh P. SrivastavHum Pyar Tumhi Se Kar Baithe (From "Hum Pyar Tumhi Se Kar Baithe")
Alka Yagnik, Saurabh P. SrivastavDo Anjaane Ajnabi (From "Vivah")
Shreya GhoshalChali Aayee (From "Main Prem Ki Diwani Hoon")
ChithraMilan Abhi Aadha Adhura (From "Vivah")
Shreya GhoshalRaat Ke Baj Gaye Do (From "Hum Pyar Tumhi Se Kar Baithe")
Alka Yagnik, Saurabh P. SrivastavDil Dena Hai to Dil De (From "Hum Pyar Tumhi Se Kar Baithe")
Alka Yagnik- Kumar Sanu