Listen to Meri Baari Hai song with lyrics from Pardhaan

Meri Baari Hai

Pardhaan2 Nov 2016

Meri Baari Hai Lyrics

Meri Baari Hai - Pardhaan

Written by:Pardhaan/Harry Cheema

 

Duniya gol hai aaj maine maan liya

Wahi par pahuncha hun jahaan se start kiyatha

Jhujharu ab main haar gaya

Itne dino ka sangharsh barbaad gaya

 

Ah

Main aapa kho raha hoon

Jaagta hun kam

Zyada so raha hoon

Kayarta ki charam seema paar logon ko

Chup karata tha

Aaj khud main ro raha hun

 

Gumnami ka andhera behtar hai

Likhna nahi fayeda kuch bhi keh kar hai

Befizul ki utha li zimewari maine

Tez kulhadi karke uspe gardan maari maine

Har nazar gadi mujh par

Nazar lagi mujhe

Main niche hoon ya sabse upar

Khabar nahi mujhe

Dheron bhaav ghabrahat ke mere mooh pe

Kheench ke rakhta hoon aaj kal main kaan khud ke

Upar se vishvash uthta jaa raha hai

Rinni hun tumhara bhai gaa raha hai

Raahu betha sar par ketu aane wala hai

Kismat khuli nahi kabhi laga uspar laga tala hai

Baais saalon se fansa hoon iss zindagi mein

Main hi akela berozgar hoon apni gali mein

Nashihat dete log saath nahi deta koi

Vaada karte dete tod jaise hain neta koi

Dhoondhne mein laga khazana Kuber ka

Waqt ki barbadi karta hosh nahi der ka

Musibat mein nahi main khud hi mushibat hoon

Khushiyan khareedni hai bolo kya keemat doon

 

Kya jeevan mera hoga theek hai mujhe shak

Khud ki khushi khudkhushi hai mera haq

Buzdil nahi jo baatein kahi ek soch hai

Sab ek railgadi mein sawaar bas alag coach hai

 

Aaj dukh mein hoon agla padaav kaamyabi

Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi

Jaante nahi beshaq se sunte mere gaane

Na rakho dilchaspi agar koi meri maane

Thaane thane mein likha hai mera naam

Bura insaan jo karta bas ache kaam

 

Shaam hote hi aa jati mujhe teri yaad

Kasam se mohabbat nahi huyi tere baad

Jo tere saath tha mera naam mitana hai

Khud ko bhula hoon yaad dilana hai

Asal mein kho jana hi manzil paana hai

Main pura pagal ye duniya pagalkhana hai

Aankhein masal li main ki poori tyari hai

Door karni hai dikatein jitni bhi saari hai

Sab kuch karna hai theek koshish meri jaari hai

Sabse piche khada tha ab meri baari hai

Meri baari hai

Meri meri baari hai

Sabse piche khada tha ab meri bari hai

Meri baari hai

Meri meri baari hai

Sabse piche khada tha ab meri bari hai

Badbola hun mujhe lena dena kya hoti taal

Kalam se wafadari nahi chhodi filhaal

Dhanaywad tahe dil se karta hoon shrotagano ka

Jinhone rakhe sar aankhon par khurafati mere khayal

Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se

Akela hi accha hoon door bhagun mehfil se

Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki

Accha laga mujhko aaj khud hi se milke

Dheeraj sanyam sanjeedgi

Sabki naak mein dam kiya

Aankhon mein jhonki dhool

Aur kaam kam kiya

Ab laanghna hai shamtaaon ko

Aadto ka karna hai ulhangan

Daridarrta ko chhod

Mehnat se sapna karna hai sampan

Dum kham kam nahi

Bas jeet ki darkaar hai

Dil aur dimaag mere dono bimaar hai

Mujhse milto julto ki tadaad bharmaar hai

 

Aap ke samaksh ye kuch mere vichar hain