Listen to Baatein Uski song with lyrics from Rii

Baatein Uski

Rii24 Jun 2024

Baatein Uski Lyrics

Kahan se Shuru karun main Baatein uski

 

Zubani yaad hai mujhe raatein uski (2)

 

Ye sara asman uska , ye sari zamee uski

 

aur beech main kahin hawaon si main .. (2)

 

Kismat kahun ya phir aisa tha kuch likha

 

Uska mera kareeb aake Kho jana

 

Humne toh wakt ko Roka bahot magar

 

Uska mera nasib tha bikhar jana

 

Hona tha buva woh , jana tha gaya woh

 

Lakhon pal khushi ke de gaya

 

Main ladi khuda se , par nahi jhuka woh

 

Woh bhi apni zid pe ad gaya ....

 

ye sara khel tha uska , thi marziyan uski

 

Aur beech main kahin Duaaon si main

 

Ye sara Aasman uska , ye sari zamee uski

 

Aur beech main kahi hawaon si main

 

Ek dusre se ke sang Rehte the is tarha

 

Badal main bund jaise chip ke Rehti Ho

 

Ek dusare ke sang behte the is Tarha

 

Khushboo hawa ke sath jaise behti ho

 

Meri dhadkane bhi uske dil ke Raste

 

Ho kar ke guzarti this sada

 

Mere khwab sare uski nind se hi

 

Hokar ke guzarte the sada

 

Na jaane kya huva humko , thi galtiyan kiski

 

Aur beech main kahi wafaon si main

 

Ye sara Aasman uska , ye sari zamee uski

 

Aur beech main kahi duaaon si main

Popular Songs