收聽Ajay-Atul的Abhi Mujh Mein Kahin歌詞歌曲

Abhi Mujh Mein Kahin

Ajay-Atul, Sonu Nigam2011年12月16日

Abhi Mujh Mein Kahin 歌詞

 

Abhi Mujh Mein Kahin - Ajay-Atul/Sonu Nigam (蘇努·尼甘)

Abhi mujh mein kahin

Baaqi thodi si hai zindagi

Jagi dhadkan nayi

Jaana zinda hoon main toh abhi

Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai

Ye lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne

Issey chhoo loon zaraa

Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Khushiyaan choom loon

Yaa ro loon zaraa

Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Ho o abhi mujh mein kahin

Baaqi thodi si hai zindagi

Ho dhoop mein jalte huey tann ko

Chhaya perh ki mill gayee

Roothe bachche ki hansi jaise

Phuslaane se phir khill gayee

Kuchh aisa hi abb mehsoos

Dil ko ho rahaa hai

Barso'n ke purane zakhm

Pe marham laga sa hai

Kuch aisa rahem iss lamhe mein hai

Ye lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne

Issey chhoo loon zara

Mar jaaoon ya jee loon zara

Khushiyaan choom loon

Yaa ro loon zaraa

Mar jaaoon yaa jee loon zaraa

Dor se tooti patang jaisi

Thi ye zindagani meri

Aaj ho kal ho mera naa ho

Har din thi kahani meri

Ik bandhan naya peechhe

Se abb mujhko bulaaye

Aane waley kal ki kyun fikar

Mujhko sata jaaye

Ik aisi chubhan iss lamhe me hai

Ye lamha kahaan tha mera aa

Ab hai saamne

Issey cho loon zara

Mar jaaoon ya jee loon zara

Khushiyaan choom loon

Yaa ro loon zaraa

 

Mar jaaoon ya jee loon zara